Sunday 26 June 2011

Deewani


Yu taaron ka timtimana is andheri raat me
Hai nishan ek muskurahat k us andheri raat me
Ajab e hai kuch us raat ki dastan
Kare lafzo me use hum  kaise bayan
Na tha koi ghum na koi tha gila
Sama tha khila tu jo tha mila
Bhulaye na bhule vo nigahon ki masti
Badal di thi jisne humari ye hasti
Khula aasman bhi tha jiska gavah
Vo kya tha ki gaane lagi thi hawa
Haseen si h kuch lamho ki kahani
Madhoshi k alam me dubi ek diwani
Ishq tha nigaho me isharo me thi baatein
Reh gayi hai bas baaki kuch khamosh si yaadein
Naa ayega fir aisa manzar dobara
Hai kashti ab dubi aur dur kinara....